Top Tag

Aaj kal aapke paas bhi online platforms ya app ke offers aate honge ki paisa lagao, currency, crypto ya commodity me trade karo aur 10,20, 50 or 100 % return paao, lekin aisi hi fake online trading platforms ke upar RBI ne ek kada action liya hai.

RBI ne 34 online trading platform ko ban kiya hai aur logon se ye appeal ki hai ki wo inn online trading platform par trade karne se bache kyunki ye platforms FEMA(Foreign Exchange Management System) Act 1999 ke under RBI se approved nahi hai.

Aur na hi ye platforms eligible hain ETF yaani Electronic Trading Platform directions 2018 ke under, jiski wajah se inn platforms par huye trade aur fraud ke liye sarkar ki koi zimmevari nahi banti,

Ye online trading platform ek acche return ka lalach dekar users ko apna customers banati hai, shuru me trade karne ko khud se paisa bhi deti hai, lekin jab user khud ke paise invest karne lag jaate hai tab amount ke withdrawal ko block kar deti hai,
Aur paise lekar bhag jati hai, aur registered naa hone ki wajah se sarkaar bhi unko track nahi kar paati,

Isiliye RBI inn 34 fake trading platform ko public ke notice me leke aaya hai taaki aap kissi application ya website par trading account banane se pehle ye jaan sake ki kahin ye app fraud toh nahi,
Aur agar aap ya aapke apne aise kissi fraud trading App ke shikar huye hai toh hume comments me bataiye.

Here is the list of 34 banned apps by RBI:-
Alpari
AnyFX
Ava Trade
Binomo
e Toro
Exness
Expert Option
FBS
FinFxPro
Forex.com
Forex4money
Foxorex
FTMO
FVP Trade
FXPrimus
FXStreet
FXCm
FxNice
FXTM
HotFores
ibell Markets
IC Markets
iFOREX
IG Markets
IQ Option
NTS Forex Trading
Octa FX
Olymp Trade
TD Ameritrade
TP Global FX
Trade Sight FX
Urban Forex
Xm
XTB

#adigitalblogger #stockmarketindia #stockmarket #shorts #short #stocksmarketforbeginners #rbi #rbiban #fraudapp #shortsvideo #shortvideo #stocks #stock

You may also like